Poetry has a meaning you already know but did not understand before...
Search This Blog
Khubsurati ko niharne ki jarurat nahi...
Khubsurati foolon ki ho ya kisi ke dil ki...
Jitna bhi niharo kbhi dil hi nhi bharta...
Par yad rahe use itna bhi mt niharo...
ki usme chand ki tarah kami najar Aa jaye...
Na rasta tha, Na koi manjil, Na khone Ko kuch tha Na pane ki koi khwahish... Anzan logo Ke chehre ki Khushi, jo age badhne Ko kahe ja Rahi thi, Bs dusro Ko raah dikhane ki chah, ek motivation deti ja Rahi thi...
Dekar taqleef unko, hm khub roye, Yad kar us bahas ko, hm khub khoye... Galti choti ho ya badi, Umar me to hu unse choti.. Dil tuta tha unka bhi, Tut kar roye the hm bhi... Kaise ho gye hmse ye nadani, Akhir thi to wo mujhse badi...
Aksar hm sach ki talash me, Khud ko pnhuchate hai taqleef, Thoda sabra to kro abhi chote lagi knha hai, Waqt ko jara Waqt to do abhi ghav bhare hi knha hai, Savera hone to do abhi sham abhi dhali knha hai, Khul jayega wo aasmaan aur ye zameen bhi... Mil jayenge gahire sawalo ke jawab bhi....
Comments
Post a Comment