Skip to main content

Khushiyu ki lari the, Maa tere angan ki...


Khelti thi, hansti thi, khushiyu ki lari thi Maa tere angan ke,
Shararat bhi karti thi, papa ki pari thi, raunak thi Maa tere angan ki...
Sasural aate hi ku Bhul chuki thi mujhe,
Kya Sirf itna hi pyar karti thi mujhe...
Jimmedariyu ne bandha mujhe kuch aisa,
Chiini aur Chay ka rishta ho jaisa...
Tujhe kisne roka tha mujhse milne ko,
Yu bahane to bahut h tujhse ruthne ko...
Pyar aur rishte nibhana seekh gye hu,
Logo ko pyar se jodna seekh gye hu...
Maa, tune mujhe naye zindagi dene ko khud se Dur kar diya,
Aur maine dusre ghar me tere bina jeena seekh liya...



Comments

Popular posts from this blog

Na rasta tha, Na koi manjil

Na rasta tha, Na koi manjil, Na khone Ko kuch tha Na pane ki koi khwahish... Anzan logo Ke chehre ki Khushi, jo age badhne Ko kahe ja Rahi thi, Bs dusro Ko raah dikhane ki chah, ek motivation deti ja Rahi thi...

Koi udaye majak to ruk mat jana

Koi udaye majak to ruk mat jana, Isi raste par hai age badhte jana... Jisne nahi udwaya apna majak, Wo kar bhi nhi paya kuch khas...

Darte ku hm success ka matlab btane se...

Darte ku ham success ka Sahi matlab bolne se, Paisa hai kamana ye jahir karne se, Zinda rahna hai to pet to bharna hi padega, Pet bharne ke liye paise to kamana hi padega... Aye hai duniya me Naam kamane, Kbhi Socha nhi Acha ya bura batlane... Paison ki jarurat hai roj ke khane ke jaise, Warna to koi mitti bhi udhar nahi deta aise...