Skip to main content

Posts

Na rasta tha, Na koi manjil

Na rasta tha, Na koi manjil, Na khone Ko kuch tha Na pane ki koi khwahish... Anzan logo Ke chehre ki Khushi, jo age badhne Ko kahe ja Rahi thi, Bs dusro Ko raah dikhane ki chah, ek motivation deti ja Rahi thi...

Kar le puri apni wish

Rona - Dhona aur ek kone me kuch bato ko lekr baithe rahna, Hazaro motivational video ko dekhte hue pichli bato ko sochte rahna... Had hue ab sbko sath me lekar chlne ki, Kuch to koshish kro khud Ko khush rakhne ki.. Dekho bohot hue ab sbko khush rakhne ki jidd, Ab dekh le ayne me khud Ko, aur kr le puri apni wish...

When a girl is raped

When a girl is raped, Why she is ashamed... When a boy spoiled girl's integrity, Why he is appreciated to do inequity... Is it the fundamental right of boy, Or is it the matter of enjoy... Why always girls face embarrassment, Why always boys feel like nothing happened...

Nahi Janti Aisa Kyon Hai

Nahi Janti Aisa Kyon Hai, Log Sach se Jyada Jhoot se Preeti hai rakhte.... Milta To unhe Kuch Bhi Nahi Hai... Phir Bhi Bure kamo me, sammilit hai Rehte...

Sunkar accha laga

Sunkar accha laga, jb Pehli Baar Kisi Ne Tarif ki... Hawa Mein udna Chaha, jb Pehli Baar Kisi ne smile di.. Yu To Hamesha khud se hi lada, kya Mujh Mein Koi acchai nahi... Jab Dekhai nahi diya koi Rasta, Usne mujhe pyar ki thapki Di... Aur dekar Awaz Kaha, Tujhse Achcha Koi Nahi... Tu Hai Meri Rachna, Tujhe Kisi bhi cheez ki Kami nahi...

Khwaab chote ho ya bade

Khwab chote ho ya bade, Bas pura karne ki chahat honi chahiye... Rishte naye ho ya purane, Bas nibhane ki aukaat honi chahiye..

Bebasi to Dur se apki ankho me Jhalak rahi thi

Bebasi to Dur se apki ankho me Jhalak rahi thi, Juban kuch, aur ankhe kuch aur hi kah rhi thi... Na jane us hawa me kon sa jadu tha, Jo Har dard ki dawa banta ja rha tha ...

Koi udaye majak to ruk mat jana

Koi udaye majak to ruk mat jana, Isi raste par hai age badhte jana... Jisne nahi udwaya apna majak, Wo kar bhi nhi paya kuch khas...

Aankhon me nami aur hothon par muskan hai...

Ankho me nami aur hothon par muskan hai, Chhaye ye kaise udasi ke badal hai... Chehre me chipe makeup ke piche koi raj hai, Un badnam galiyu ka khilta hua chand hai... Niche jhuki wo palke kuch banyan kar rahi hai, Apne ghar ki ijjat ko Yu sharmshar kar rahi hai...  Na jane wo kisse najre chura rahi hai, Hansin sham ki raunak me berang si najar Aa rhi hai...

Darte ku hm success ka matlab btane se...

Darte ku ham success ka Sahi matlab bolne se, Paisa hai kamana ye jahir karne se, Zinda rahna hai to pet to bharna hi padega, Pet bharne ke liye paise to kamana hi padega... Aye hai duniya me Naam kamane, Kbhi Socha nhi Acha ya bura batlane... Paison ki jarurat hai roj ke khane ke jaise, Warna to koi mitti bhi udhar nahi deta aise...

Dekar taqleef unko, hm khub roye

Dekar taqleef unko, hm khub roye, Yad kar us bahas ko, hm khub khoye... Galti choti ho ya badi, Umar me to hu unse choti.. Dil tuta tha unka bhi, Tut kar roye the hm bhi... Kaise ho gye hmse ye nadani, Akhir thi to wo mujhse badi...

Akele nhi par sabke sath jeeti hu

Nachati hu, Gati hu, Khushiyu ko celebrate karti hu... Akele nahi par sabke sath Hansti hu, Pagal hu, natkhat hu, Dusro ko khush karti hu.. Akele nhi par sabke sath jeeti hu...         

Khushiyu ki lari the, Maa tere angan ki...

Khelti thi, hansti thi, khushiyu ki lari thi Maa tere angan ke, Shararat bhi karti thi, papa ki pari thi, raunak thi Maa tere angan ki... Sasural aate hi ku Bhul chuki thi mujhe, Kya Sirf itna hi pyar karti thi mujhe... Jimmedariyu ne bandha mujhe kuch aisa, Chiini aur Chay ka rishta ho jaisa... Tujhe kisne roka tha mujhse milne ko, Yu bahane to bahut h tujhse ruthne ko... Pyar aur rishte nibhana seekh gye hu, Logo ko pyar se jodna seekh gye hu... Maa, tune mujhe naye zindagi dene ko khud se Dur kar diya, Aur maine dusre ghar me tere bina jeena seekh liya...

Aksar Rat ko terrace par akele ghumana pasand karti thi...

Aksar Rat ko terrace par akele ghumana pasand karti thi, Jb bhi pareshaan hoti to purane gane sunna pasand karti thi... Kya pta tha Waqt itne parikshaye lega, Sare shaukh apne me sama lega... Yu to barish me bhigna sabko pasand h, Bhige kpdo me mummy ko dantna pasand h... Par kya pta tha ek andhi aise ayegi, Ki sari masti apne uda le jayegi...                                   

Bachpan ki dosti Bhi kitne Masoom hoti hai

Bachpan ki dosti Bhi kitne Masoom hoti hoti hai,  Ruthe doston ko manane ki bat hi kuch aur hoti hi.. Tala Kholo Chabi Kholo is ladki se kabhi na bolo, Khud Hi Rutho Khud Hi Manao, Fir Inse Sbse Pehle Bolo..  Atti batti sall bhar ki khutti, Nahi bolti to wo bhi roti mai bhi roti.. School Me Absent Hone Par Teacher Se Jyada Inse Dant padti,  Bimar Hone Par Maa Ki Tarah Kitni Parwah krti..

Kya hasil hua aise pyar se tujhe...

Pyar me koi kahe Jan bhi de du tere liye, Jo bol de wo kar jau tere liye... Agar Jan de bhi de to kya hasil hua aise pyar se tujhe, Apno Ka sath chodkar kitna pyar mila tujhe... Pyar jindagi leta nhi deta hai ye kb samjhega tu... Pyar rishte todta nhi jodta hai ye kb janega tu....

Kuch sawalo ka jawab pta hote hue bhi anzan hai ham...

Ek nahi kai sawal hai khud se, Ek nahi kai sawal hai sab se... Ku ham hamesha burai se hai lipte rahte, Ku ham hmeshsa burai karne ko pair daudate rahte.. Ku dusro ka bura karne me sukun hai milta... Ku kisi ko dukhi dekhne me sukh hai milta... Ku dusre ka majak udane me Piche nhi rahte, Ku dusro ko nicha dikhane me kami nhi rakhte... Ku jhuthi bato ko hai failate, Ku dusro ko jhuth hai batate... Ku dusro ko uthata dekh jalate hai ham, Ku dusro ka saman pane ki icha rakhte hai ham.. Jawab to mujhe bhi pta hai... Jawab to apko bhi pta hai...

Pen likhta rahta Sirf bure vicharo ko

Hazaro ki tadad me jb bina marzi ke vichar ate hai, Kuch ache to kuch bure khayal sath late hai.. Hm manushya bhi kitne bhole hai, Acha ya bura nhi pahchante hai... Ek din Socha saheju un vicharo ko copy pr, Aur thoda kam karu un vicharo par... Pen rukta tha to Sirf ache khayalo par... Nhi rukta tha to bs bure vicharo par...

Farishte se Shaitan aur Shaitan se Farishta

Insaan Ki Chahat Use Kya Se Kya bana Deti Hai Koi Kisi Ki Chahat Mein Shaitan se Farishta Ban jata hai... To Koi Usi Chahat Mein Farishte se Shaitan...

Darti hoon main Apno Ko Khone Se

Darti nahi main Akela Chalne Se, Darti hoon bas Apno Ko Hone se... Socha Na Tha Kabhi Itni Dur nikal ayenge, Ki Piche ka rasta Tak Bhul jayenge...