Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2018

Koi udaye majak to ruk mat jana

Koi udaye majak to ruk mat jana, Isi raste par hai age badhte jana... Jisne nahi udwaya apna majak, Wo kar bhi nhi paya kuch khas...

Aankhon me nami aur hothon par muskan hai...

Ankho me nami aur hothon par muskan hai, Chhaye ye kaise udasi ke badal hai... Chehre me chipe makeup ke piche koi raj hai, Un badnam galiyu ka khilta hua chand hai... Niche jhuki wo palke kuch banyan kar rahi hai, Apne ghar ki ijjat ko Yu sharmshar kar rahi hai...  Na jane wo kisse najre chura rahi hai, Hansin sham ki raunak me berang si najar Aa rhi hai...

Darte ku hm success ka matlab btane se...

Darte ku ham success ka Sahi matlab bolne se, Paisa hai kamana ye jahir karne se, Zinda rahna hai to pet to bharna hi padega, Pet bharne ke liye paise to kamana hi padega... Aye hai duniya me Naam kamane, Kbhi Socha nhi Acha ya bura batlane... Paison ki jarurat hai roj ke khane ke jaise, Warna to koi mitti bhi udhar nahi deta aise...

Dekar taqleef unko, hm khub roye

Dekar taqleef unko, hm khub roye, Yad kar us bahas ko, hm khub khoye... Galti choti ho ya badi, Umar me to hu unse choti.. Dil tuta tha unka bhi, Tut kar roye the hm bhi... Kaise ho gye hmse ye nadani, Akhir thi to wo mujhse badi...

Akele nhi par sabke sath jeeti hu

Nachati hu, Gati hu, Khushiyu ko celebrate karti hu... Akele nahi par sabke sath Hansti hu, Pagal hu, natkhat hu, Dusro ko khush karti hu.. Akele nhi par sabke sath jeeti hu...         

Khushiyu ki lari the, Maa tere angan ki...

Khelti thi, hansti thi, khushiyu ki lari thi Maa tere angan ke, Shararat bhi karti thi, papa ki pari thi, raunak thi Maa tere angan ki... Sasural aate hi ku Bhul chuki thi mujhe, Kya Sirf itna hi pyar karti thi mujhe... Jimmedariyu ne bandha mujhe kuch aisa, Chiini aur Chay ka rishta ho jaisa... Tujhe kisne roka tha mujhse milne ko, Yu bahane to bahut h tujhse ruthne ko... Pyar aur rishte nibhana seekh gye hu, Logo ko pyar se jodna seekh gye hu... Maa, tune mujhe naye zindagi dene ko khud se Dur kar diya, Aur maine dusre ghar me tere bina jeena seekh liya...

Aksar Rat ko terrace par akele ghumana pasand karti thi...

Aksar Rat ko terrace par akele ghumana pasand karti thi, Jb bhi pareshaan hoti to purane gane sunna pasand karti thi... Kya pta tha Waqt itne parikshaye lega, Sare shaukh apne me sama lega... Yu to barish me bhigna sabko pasand h, Bhige kpdo me mummy ko dantna pasand h... Par kya pta tha ek andhi aise ayegi, Ki sari masti apne uda le jayegi...                                   

Bachpan ki dosti Bhi kitne Masoom hoti hai

Bachpan ki dosti Bhi kitne Masoom hoti hoti hai,  Ruthe doston ko manane ki bat hi kuch aur hoti hi.. Tala Kholo Chabi Kholo is ladki se kabhi na bolo, Khud Hi Rutho Khud Hi Manao, Fir Inse Sbse Pehle Bolo..  Atti batti sall bhar ki khutti, Nahi bolti to wo bhi roti mai bhi roti.. School Me Absent Hone Par Teacher Se Jyada Inse Dant padti,  Bimar Hone Par Maa Ki Tarah Kitni Parwah krti..

Kya hasil hua aise pyar se tujhe...

Pyar me koi kahe Jan bhi de du tere liye, Jo bol de wo kar jau tere liye... Agar Jan de bhi de to kya hasil hua aise pyar se tujhe, Apno Ka sath chodkar kitna pyar mila tujhe... Pyar jindagi leta nhi deta hai ye kb samjhega tu... Pyar rishte todta nhi jodta hai ye kb janega tu....

Kuch sawalo ka jawab pta hote hue bhi anzan hai ham...

Ek nahi kai sawal hai khud se, Ek nahi kai sawal hai sab se... Ku ham hamesha burai se hai lipte rahte, Ku ham hmeshsa burai karne ko pair daudate rahte.. Ku dusro ka bura karne me sukun hai milta... Ku kisi ko dukhi dekhne me sukh hai milta... Ku dusre ka majak udane me Piche nhi rahte, Ku dusro ko nicha dikhane me kami nhi rakhte... Ku jhuthi bato ko hai failate, Ku dusro ko jhuth hai batate... Ku dusro ko uthata dekh jalate hai ham, Ku dusro ka saman pane ki icha rakhte hai ham.. Jawab to mujhe bhi pta hai... Jawab to apko bhi pta hai...

Pen likhta rahta Sirf bure vicharo ko

Hazaro ki tadad me jb bina marzi ke vichar ate hai, Kuch ache to kuch bure khayal sath late hai.. Hm manushya bhi kitne bhole hai, Acha ya bura nhi pahchante hai... Ek din Socha saheju un vicharo ko copy pr, Aur thoda kam karu un vicharo par... Pen rukta tha to Sirf ache khayalo par... Nhi rukta tha to bs bure vicharo par...

Farishte se Shaitan aur Shaitan se Farishta

Insaan Ki Chahat Use Kya Se Kya bana Deti Hai Koi Kisi Ki Chahat Mein Shaitan se Farishta Ban jata hai... To Koi Usi Chahat Mein Farishte se Shaitan...

Darti hoon main Apno Ko Khone Se

Darti nahi main Akela Chalne Se, Darti hoon bas Apno Ko Hone se... Socha Na Tha Kabhi Itni Dur nikal ayenge, Ki Piche ka rasta Tak Bhul jayenge...

To ku na kahu thanks tujhe ae masih...

Diya hai jo kuch tune mujhe, Apne lahu ki keemat se... To ku na ban jau gavah tere pyar ka ae masih... Tune jo di h hawao me apni mahak.. Dhup me apni ashisho ki barish... To ku na ban jau tere pyar ki khushbu ae masih... Tune diya h naya jiwan... Aur di hai khushiyu ki saugat... To ku na ban jau tere hotho ki hansi ae masih... Parwah to tune ki mere... Andhero me jab chlti thi to ujala diya... To ku na ban jau roshni tere deepak ki ae masih... Ab rahna hai mushkil tere bina ek pal bhi... Tere pyar ki kimat to hm ada na kr payenge kabhi... Pr tujhe mahima dete rahenge hm sbhi... Thank you jesus...

Maa, ku chali gye tu..

Kab tak ansoon me bhige rahte hm, Bhula bhi to nahi jata Maa tujhe ab... Wo roj kahte kya karegi padhkar, Kon sa teer marna hai school jakar.. Maa ne kbhi bhukhe sone na diya, Dusri maa ne khane ke liya tadpa diya... Ek Baap ke rahte bhi is bheed me akeli Knhi kho gye.. Duniya ki najro me ek bechari ban kar rah gye... Abhi to bs abcd seekhi hi thi... Books to thik se padhi bhi na thi.. Book ka ek ek panna mere samne jala diya... Mano un panno ke sath mujhe hi jala diya... Maa tere Jane ke Baad Kheto me jana thi majburi mere.. Saheliyu ko school jata dekh rooh bhi kanp uthati the mere... Jimmedariyu ke bhanwar me khud ko hi bhul gye.. Duniya ki najro me ek bechari ban kar rah gye...

Sachai ki talash

Aksar hm sach ki talash me, Khud ko pnhuchate hai taqleef, Thoda sabra to kro abhi chote lagi knha hai, Waqt ko jara Waqt to do abhi ghav bhare hi knha hai, Savera hone to do abhi sham abhi dhali knha hai, Khul jayega wo aasmaan aur ye zameen bhi... Mil jayenge gahire sawalo ke jawab bhi....

Khubsurati ko niharne ki jarurat nahi...

Khubsurati foolon ki ho ya kisi ke dil ki... Jitna bhi niharo kbhi dil hi nhi bharta... Par yad rahe use itna bhi mt niharo... ki usme chand ki tarah kami najar Aa jaye...

Azadi ko feel karna

Azadi ko Sirf whi celebrate karte hai, jo pahle kaid ki bediyu me rote the. Wrna trapt insan ko pta hi knha hota, Bhukh kya hoti hai...

Kale badlo ka dekh vichalit na ho...

Kale badlo ko dekhkr lagta hai dar.. Knhi sb kuch ho na jaye khtm.. Par jo rahte hai dradh... aksar unhi ko mane suraj ki roshni me chamakte dekha hai...

Lukka chippi with sun...

Chamakta hua suraj bhi kbhi man banata hai khelne ka, Masti to usme bhi bhari h, Wrna ku badlo ke sath hmse lukka chippi khelta...

Importance

Andhkar ke bad jo roshni ati h, Uska mahatv bahut hota hai... Par agr yhi roshni hmesha rahti hai, To logo ko kasht bahut hota hai...
Kuch is tarah..  Kuch is tarah... Kho gye hm tere vachno me... Zee rahi hu tere bina ynha.. Tere majudagi mai hu sada... Hawao ne aur pakshiyu ne diya sandesh tere ane ka... Mai nach uthi, mai fir jee uthi... Karne lagi tayariya kuch is tarah.. apne masih k sang Jane ko, Sawanrne lagi kuch is tarah... Sawanrne lagi kuch is tarah... Nahi raha jata ab duniya ke kashto me... Par krna hai tere kam ko bhi pura... Jimmedariya ab nhi lagti bojh... Ab samajhti hu ise phli duty... Hawao ne aur pakshiyu ne diya sandesh tere ane ka... Mai nach uthi, mai fir jee uthi... Karne lagi tayariya kuch is tarah..

Ummido ka suraj

Jab subah ka suraj khilta h. Dil me Dhero sapne panapna band hote nhi. Rat ko sard hawaye chalti h. Par dil me uthi tarange kabhi thamti nhi...

Jee le har pal khushi ke

Zindagi hai to zeeni to padegi hi... Warna sanso ka kya bharosa kb tham jaye... Chay garm h to peeni to padegi hi... Bimari ka kya bharosa, kuch chuskiyu ka bhi parhej kara jaye... Rat kitni bhi kali ku na ho... Subah to lekar hi ayegi... In ansoun ko bah Jane do, kuki fir se muskan wapas yhi layegi...

Magic... Nahi h mere pas kuch dene ko

Bhukhe bhikari ko hath failate dekhkr, nhi h mere pas kuch bhi bol kr bhaga dena... Aur fir dosto ko treat dete time, Hazaro ka bil pay kr dena... Samajh nhi ata ye magic inhone seekha knha se... Aye khuda ye magic un bhukhe bhikariyu ko bhi de de....